Sawan Aaya Hai

Creature 3D | Hindi
149,719
12.8M Plays
play

Lyrics

Mohabbat barsa dena tu sawan aaya hai Tere aur mere Milne ka Mausam aaya hai Sabse chupake tujhe seene se Lagana hai Pyar mein tere hadd se guzar Jana hai Itna pyaar kisi pe pehli baar aaya hai Mohabbat barsa dena tu sawan aaya hai Tere aur mere Milne ka Mausam aaya hai Kyon ek pal ki Bhi judaai Sahi jaye Na Kyon har Subah tu Meri Sanson mein samaye Na Aaja Na tu mere paas dunga itna pyar main kitni raat guzari hai tere intezaar mein Kaise bataoon jazbaat ye mere Maine Khud se Bhi jyada tujhe chaha hai Sab kuch chod ke aana tu sawan aaya hai tere aur mere Milne ka Mausam aaya hai Sabse chupake tujhe seene se Lagana hai Pyar mein tere hadd se guzar Jana hai Itna pyaar kisi pe pehli baar aaya hai Bheege bheege tere lab mujhko kuch kehte hain Dil hai khush Mera ke khayal ek jaise hain Roko Na ab khudko yoon sunlo Dil ki baat Ko dhal jaane do shaam aur aa jaane do raat ko Kitna haseen ye lamha hai kismat se Maine churaya hai Aaj ki raat Na jaana tu sawan aaya hai Tere aur mere Milne ka Mausam aaya hai Sabse chupake tujhe seene se Lagana hai Pyar mein tere hadd se guzar Jana hai Itna pyaar kisi pe pehli baar aaya hai